haj ka safar hai is mein koi sath bhi to ho parda-nashin se apni mulaqat bhi to ho kab se tahal rahe hain gareban khol kar khali ghata ko kya karen barsat bhi to ho din hai ki dhal nahin raha is reg-zar mein manzil bhale na aae kahin raat bhi to ho majmua chhapne to chale ho miyan magar ashaar mein tumhaare koi baat bhi to ho