![](http://cdn.pagalshayari.com/images/ghazal/har-kisi-ka-har-kisi-se-rabta-tuta-hua-aftab-iqbal-shamim-ghazal-english.jpg)
har kisi ka har kisi se rabta tuta hua aankh se manzar khabar se waqia tuta hua kyun ye ham-surat rawan hain mukhtalif atraf mein hai kahin se qafile ka silsila tuta hua wae majburi ki apna maskh chehra dekhiye samne rakkha gaya hai aaina tuta hua khud-ba-khud badle to badle ye zamin is ke siwa kya bashaarat de hamara hausla tuta hua khwab ke aage shikast-e-khwab ka tha samna ye safar tha marhala-dar-marhala tuta hua kuchh taghaful bhi khabardari mein shamil kijiye warna kar dalega pagal wahima tuta hua
This is a great tuta pyar shayari. True lovers of majburi shayari 2 lines will love this. Please share if you liked this!!!