har koi kyun chup baitha hai sahab ji kuchh to bolo khamoshi ka kya qissa hai sahab ji kuchh to bolo aaj qalam ka roza hai kya ya kaghaz taqwe se hai qasid kyun fursat likhta hai sahab ji kuchh to bolo angnai ke ped pe panchhi zikr mein kyun masruf nahin ye sannata sa kaisa hai sahab ji kuchh to bolo majburi se mukhtari tak duri se nazdiki tak aakhir ye kaisa parda hai sahab ji kuchh to bolo kis kis ka munh band karoge kis ko kis ko rokoge bura milan ke beach mein kya hai sahab ji kuchh to bolo jo darwaza lachaari ke nam pe mujh par band raha kya ab bhi wo band pada hai sahab ji kuchh to bolo is duniya se us duniya tak ruswa kar dene ke baad ab logon ka kya kahna hai sahab ji kuchh to bolo kal tak tum ko jaan se pyara dil ka sahaara lagta tha ab 'rahmani' kya lagta hai sahab ji kuchh to bolo