koi jahan mein sahab-e-iman na ban saka tuf hai ki ishq mazhab-e-insan na ban saka ta-umr tifl-e-dil pe yatimi ka karb tha koshish to ki magar main kabhi man na ban saka yani junun ke bab mein bhi intikhab tha jo bahr ban gaya wo bayaban na ban saka shahr-e-khirad ke bab haqiqat ka har khayal dasht-e-guman ki rah ka imkan na ban saka ye khar-zar sab ka gulistan to ban gaya ye khar-zar mera gulistan na ban saka