hazaron ranj-o-gham de kar khushi ki baat karte hain hai khanjar aastin mein dosti ki baat karte hain paden chhaale zaban par ghair ka jo nam bhi le len ki hum to aap ke hain aap hi ki baat karte hain samajh mein kuchh nahin aata hain diwane ki farzane khudi mein ji rahe hain be-khudi ki baat karte hain koi hum sa na hoga pyas ka mara zamane mein samundar pi chuke aur tishnagi ki baat karte hain jo khud waqif nahin hain zindagani ki haqiqat se wahi hum se usul-e-zindagi ki baat karte hain junun-parwarda logon mein junun ki baat hoti hai khirad ke pasban to aagahi ki baat karte hain kiya karte hain murda-dil hamesha maut ki baaten jo zinda-dil hain wo to zindagi ki baat karte hain