har marhala-e-shauq se lahra ke guzar ja aasar-e-talatum hon to bal kha ke guzar ja bahki hui makhmur ghataon ki sada sun firdaus ki tadbir ko bahla ke guzar ja mayus hain ehsas se uljhi hui rahen pael dil-e-majbur ki chhanka ke guzar ja yazdan o ahrman ki hikayat ke badle insan ki riwayat ko dohra ke guzar ja kahti hain tujhe mai-kada-e-waqt ki rahen bigdi hui taqdir ko suljha ke guzar ja bujhti hi nahin tishnagi-e-dil kisi surat ai abr-e-karam aag hi barsa ke guzar ja kante jo lagen hath to kuchh gham nahin 'saghar' kaliyon ko har ek gam pe bikhra ke guzar ja