tujh ko rakhti hun apni sochon mein phul khilte hain kitne raston mein wapsi ki nahin hai rah koi jhank baithi hun teri aankhon mein main bhi un ka wajud lagne lagi aise khoi hun khulte rangon mein jis tarah dhup mein shajar koi apna lagta hai mujh ko ghairon mein wo bayan mein to aa nahin sakta is ko likkhun bhala kya lafzon mein nind meri to le gaya koi kaise dekhun main is ko khwabon mein aasman wale kuchh khabar bhi hai bhuk ugne lagi hai kheton mein kaun sunta hai haal-e-dil 'sayyad' log bahre hain sare shahron mein