jab saba aai idhar zikr-e-bahaar aa hi gaya yaad hum ko inqalab-e-rozgar aa hi gaya kis liye ab jabr ki taklif farmate hain aap banda-parwar main to zer-e-ikhtiyar aa hi gaya lala-o-gul par jo guzri hai guzarne dijiye aap ko to mehrban lutf-e-bahaar aa hi gaya dahr mein rasm-e-wafa badnam ho kar hi rahi hum bachate hi rahe daman ghubar aa hi gaya hans ke bole ab tujhe zanjir ki hajat nahin un ko meri bebasi ka e'tibar aa hi gaya shikwa-sanji apni aadat mein nahin dakhil magar dil dukha to lab pe harf-e-nagawar aa hi gaya