har mauqe ki har rishte ki dher nishani us ke pas album ke har ek photo ki ek kahani us ke pas shahr wo sahukar hai jis ko kos raha hai har koi ye sach bhi sab ko malum hai dana-pani us ke pas amman ki baaton mein aankhen sukh-dukh sapne sab to hain ram-kahani us ke pas kabira-bani us ke pas kai khazane qisse wale ek bachche ke pas mile dada dadi us ke pas nana nani us ke pas soch raha hun ganw mein ja kar kuchh din ab aaram karun wahin kahin par rakh aaya hun nind purani us ke pas