ye chaaragar to yahan har gali mein milte hain koi batao kahan dil ke chaak silte hain tere badan ki saba kis chaman mein chalti hai kahan pe ab tere honton ke phul khilte hain faza mein bikhri hain zard aansuon ki tahriren wida-e-gul mein darakhton ke hath milte hain wo jin ke ashk bichhadte hue nahin thamte milen bichhad ke to kyon be-rukhi se milte hain ghalat guman na kar meri khushk aankhon par samundaron mein jazire zarur milte hain sulag uthi hai teri yaad mein faza-e-khayal ki jaise tirgi-e-shab mein phul khilte hain