kar-nama ai gham-e-dil kuchh tera ye kam nahin bah gae aankhon se dariya aur aankhen nam nahin saf tha har lafz us ki be-badal taqrir ka phir lahu ne naqsh jo chhode hain wo mubham nahin har zamane mein nahin pahchanna mushkil unhen sar qalam hote rahenge un ke lekin gham nahin karbala hi ne kiye hain murtasim dil par nuqush warna is duniya mein gham ki wardaten kam nahin dil hi dil wo bhigi lakdi ki tarah sulga kiya us ke chehre se to lagta tha ki koi gham nahin kaifiyat kaisi ajab is shahr ki yaadon ki hai garm hai aatish nahin aur sard hai shabnam nahin ek alag tahzib hai tanhaiyon ke shahr ki ek hi aalam hamesha aur koi mausam nahin phir rahe hain log phir hathon mein sang-reze liye aur apne sar mein sauda is ghadi kuchh kam nahin hum se 'abid' apne rahbar ko shikayat ye rahi aankh munde un ke pichhe chalne wale hum nahin