hum apne zakhm kuredte hain wo zakhm parae dhote the jo hum se ziyaada jaante the wo hum se ziyaada rote the achchhon ko jahan se utthe hue ab kitni dahaiyan bit chukin aakhir mein udhar jo guzre hain shayad un ke par-pote the in pedon aur pahadon se in jhilon in maidanon se kis mod pe jaane chhut gae kaise yarane hote the jo shabd udanen bharte the aazad faza-e-mani mein yun sher ki bandish mein simte goya pinjron ke tote the wo bhige lamhe soch bhare wo jazbon ke chaqmaq kahan jo misra-e-tar de jate the lafzon mein aag pirote the ye khushk qalam banjar kaghaz dikhlaen kise samjhaen kya hum fasl nirali katte the hum bij anokhe bote the ab 'saz' nashebon mein dil ke bas kichad kali daldal hai yan shauq ke dhalte jharne the yan gham ke ubalte sote the