maqam-e-shauq se aage bhi ek rasta nikalta hai kahen kya silsila dil ka kahan par ja nikalta hai mizha tak aata jata hai badan ka sab lahu khinch kar kabhi kya is tarah bhi yaad ka kanta nikalta hai dukan-e-dil badhate hain hisab-e-besh-o-kam kar lo hamare nam par jis jis ka bhi jitna nikalta hai abhi hai husn mein husn-e-nazar ki kar-farmai abhi se kya bataen hum ki wo kaisa nikalta hai miyan-e-shahr hain ya aainon ke ru-ba-ru hain hum jise bhi dekhte hain kuchh hamin jaisa nikalta hai ye dil kyun dub jata hai usi se puchh lunga main sitara sham-e-hijran ka idhar bhi aa nikalta hai dil-e-muztar wafa ke bab mein ye jald-bazi kya zara ruk jaen aur dekhen natija kya nikalta hai