har nazar intiKHab ho jae

har nazar intikhab ho jae
aap apna jawab ho jae

phir khayalon ki jannaten na rahin
to agar be-naqab ho jae

kahin aisa na ho ki dur-rasi
khud nazar ka hijab ho jae

nashsha-e-zist ai maaz-allah
aur jab gham sharab ho jae

kam na ho lazzat-e-hayat agar
tera gham be-hisab ho jae

dekh le tu agar mohabbat se
zindagi kaamyab ho jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close