jahan mein khud ko banane mein der lagti hai kisi maqam pe aane mein der lagti hai uruj-e-waqt pe jaane mein der lagti hai har ek ilm ko pane mein der lagti hai phir un ke pas bhi jaane mein der lagti hai hamesha un ko manane mein der lagti hai hamare shahr mohalle gali ka ab mahaul bigad gaya to banane mein der lagti hai ana ki soch ko ya phir ana ke honton ko ghamon ka haal batane mein der lagti hai hai husn walon ka andaz ye zamane mein hai ishq phir bhi jatane mein der lagti hai ye baat aaegi tum ko samajh mein kab 'fayyaz' bulandi milne mein pane mein der lagti hai