kahan kahan na tasawwur ne dam phailae hudud-e-sham-o-sahr se nikal ke dekh aae nahin payam rah-e-nama-o-payam tu hai abhi saba se kaho un ke dil ko bahlae ghurur-e-jada-shanasi baja sahi lekin suragh-e-manzil-e-maqsud bhi koi pae khuda wo din na dikhae ki rahbar ye kahe chale the jaane kahan se kahan nikal aae guzar gaya koi darmanda-rah ye kahta ab is faza mein koi qafile na thahrae na jaane un ke muqaddar mein kyun hai tira-shabi wo ham-nawa jo sahar ko qarib-tar lae koi fareb-e-nazar hai ki tabnak faza kise khabar ki yahan kitne chand gahnae gham-e-zamana teri zulmaten hi kya kam thin ki badh chale hain ab un gesuon ke bhi sae bahut buland hai is se mera maqam-e-ghazal agarche main ne mohabbat ke git bhi gae 'hafiz' apna muqaddar 'hafiz' apna nasib gire the phul magar hum ne zakhm hi khae