kisi ke hijr mein jina muhaal ho gaya hai kise bataen hamara jo haal ho gaya hai kahin gira hai na raunda gaya hai dil phir bhi shikasta ho gaya hai paemal ho gaya hai sahar jo aai hai shab ke tamam hone par to is mein kaun sa aisa kamal ho gaya hai koi bhi chiz salamat nahin magar ye dil shikastagi mein jo apni misal ho gaya hai udhar charagh jale hain kisi dariche mein idhar wazifa-e-dil bahaal ho gaya hai haya ka rang jo aaya hai us ke chehre par ye rang hasil-e-sham-e-visal ho gaya hai masafat-e-shab-e-hijran mein chand bhi 'ajmal' thakan se chur ghamon se nidhaal ho gaya hai