hum dard-e-mohabbat ka mudawa nahin karte kuchh bhi ho magar arz-e-tamanna nahin karte khud zat pe apni jo bharosa nahin karte duniya mein kabhi nam wo paida nahin karte manzil ki taraf badhte hain manzil ke musafir ho jaan ka khatra bhi to parwa nahin karte jo rind hain maikhane ke aadab se waqif khum bhi jo chadha jaen to bahka nahin karte dekha na kabhi husn ko gustakh-nazar se hum khwab ke aalam mein bhi aisa nahin karte jo izzat-o-khuddari ke hain qadr-shanasa wo izzat-o-khuddari ka sauda nahin karte hum dekhte hain ek nazar us ko sar-e-am chhup-chhup ke kabhi husn ko dekha nahin karte wo log jo hain waqif-e-taqdis-e-gham-o-dard barbaad gham-o-dard ki duniya nahin karte hai apne tain hurmat-e-fan jaan se badh kar hum hurmat-e-fan ko kabhi ruswa nahin karte 'maghmum jinhen wasta hai naqd-o-nazar se tarif kisi ki bhi wo beja nahin karte