har rang-e-tarab mausam o manzar se nikala ek rasta phir sai-e-mukarrar se nikala chalne lagi har samt se jab baad-e-khush-asar ek aur bhanwar hum ne samundar se nikala deti rahi aawaz pe aawaz ye duniya sar hum ne na phir khak ki chadar se nikala kam pad gai parwaz ko jab wusat-e-aflak ek aur falak apne hi shahpar se nikala hum dil se rahe tez hawaon ke mukhalif jab tham gaya tufan to qadam ghar se nikala ab kaifiyat o rang nazar aai jo duniya mausam naya phir apne hi andar se nikala aasar nazar aae na sairabi-e-dil ke thak-haar ke sauda-e-numu sar se nikala