ishq har-chand masaib se pareshan na hua na hua husn magar taba-e-farman na hua lakh duniya ne ye chaha ki pareshan ho magar main tere gham ki hifazat mein pareshan na hua dil ki aawaz ho mahrum-e-asar kya mani ishq kafir hai agar husn musalman na hua darpai uqda-e-hasti hai azal hi se bashar lekin ek khak ke zarre ka bhi irfan na hua dil mein har khun ka qatra hai talatum ba-kanar jo magar aankh se tapka wahi tufan na hua to wo aazad ki be-wajh hai mujh se bhi gurez main wo majbur ki dushman se bhi nalan na hua apni paigham-nawai ke nataej mein mujhe fikr-e-zindan to raha hai gham-e-zindan na hua jis ke mashrab mein mohabbat ho mohabbat ka jawab meri taqdir mein aisa koi insan na hua ek hi jalwe se 'ehsan' nazar hat na saki mujh se kuchh us ke siwa kar-e-numayan na hua