qutub ghiyas qalandar ali wali mitti tumhaare ishq mein kya kya nahin hui mitti hai murgh-e-aql abhi tak isi kashakash mein falak se aage kahan tak chali gai mitti phir ek nur ne is mein qiyam farmaya main sochta tha ki kis waste bani mitti ye log kyon mujhe sar par uthae phirte hain ye kis mazar se mas ho gai meri mitti ye kis ne khun ke aansu rula diye us ko ye kis ke zikr pe yun surkh ho uthi mitti ye zalzalon ka tasalsul ye sukhti nadiyan bata rahe hain ki had se nikal gai mitti khuda qasam meri turbat se nur phutega tumhaare hath se mujh par agar padi mitti are o nam-nihado ye kis guman mein ho na jaane kitne khudaon ko kha gai mitti hamare panw mein chhaale to pad gae lekin hamare azm se 'shadab' ho gai mitti