jo lazzat dard mein hai jaante hain use mearaj-e-dil gardante hain kahin kuchh to sukun milta jahan mein ye mausam dard ka hai mante hain ye apni be-hisi ki intiha hai ki qatil ko masiha mante hain ye khush-fahmi nahin to aur kya hai unhen apna jo hum gardante hain saza-war-e-mohabbat aur bhi hain hamin par aap khanjar tante hain tayyun kar to len wo samt-e-manzil 'ziya' jo khak-e-sahra chhante hain