har-samt tazgi si jharnon ki naghmagi se kitni mushabahat hai saqi teri hansi se kya jaane kitne fitne uthte hain kaj-rawi se wo shakhs yun ba-zahir milta hai sadgi se aksar ghazal hui hai kuchh aisi jaan-kani se jaise ghazal dekhe sahra mein bebasi se ek mard-e-ba-safa ne likha lahu se apne izzat ki maut behtar zillat ki zindagi se sadiyon talak rahi hai tahzib ki nigahban patthar tarashte the kuchh log shairi se ab aadmi bane hain ek dusre ke sail ab aadmi gurezan rahta hai aadmi se shokhi-o-bazla-sanji doshizgi wahi hai masumiyat gai bas ehsas-e-agahi se jab ho gharaz to maliye warna khinche se rahiye hum tang aa chuke hain is shan-e-dilbari se 'jafar'-raza tum ab tak achchhe-bhale the lekin mitti kharab kar li kyun tum ne shairi se