bhala kab dekh sakta hun ki gham nakaam ho jae jo aaram-e-dil-o-jaan hai wo be-aram ho jae mohabbat kya agar yun surat-e-ilzam ho jae nazar nakaam aur zauq-e-nazar badnam ho jae qayamat hai agar yun zindagi nakaam ho jae wo pahlu mein na hon aur garmiyon ki sham ho jae gham-e-dil hai magar aakhir gham-e-dil kya kahe koi fasana mukhtasar ho kar jab un ka nam ho jae mohabbat rah chuki aur matam-e-anjam baqi hai wo aankhen ashk bhar laen to apna kaam ho jae badi hasrat se insan bachpane ko yaad karta hai ye phal pak kar dobara chahta hai kham ho jae jiya lekin mera jina kisi ke bhi na kaam aaya main marta hun ki shayad zindagi paigham ho jae 'nushur' ahbab-e-khush-dil ko zara hans bol lene do qayamat hai agar ehsas-e-shair aam ho jae