wo jidhar bhi nazar uthawe hai zindagi ka pata batawe hai dur tak koi bhi nahin ab to kaun ye shor sa machawe hai us sadak par wo ghar nahin milta jo sadak us ke ghar ko jawe hai koi to baat hai jo main chup hun warna yun kaun dil jalawe hai main to us ka pata hun lekin wo mujh se apna pata chhupawe hai us se katta nahin darakht koi narm shakhon ko wo jhukawe hai sahma rahta hun ghar ke andar bhi jaane kya shai mujhe darawe hai aao nudrat-'nawaz' laut chalo wo kahan apne lab hilawe hai