har samt zindagi ka tamasha bhi khub hai duniya bhi khub raunaq-e-duniya bhi khub hai jis shahr mein kisi ko kisi ki khabar nahin us shahar-e-la-jawab mein jina bhi khub hai mai-khana-e-hayat ka ahwal kya likhun saqi bhi khub saghar-e-sahba bhi khub hai pi kar sharab gum main rahun apne hosh mein ai zindagi ye tera taqaza bhi khub hai dekha hai main ne us ke ziyan mein bhi faeda bazar-e-arzu ka khasara bhi khub hai hoti hai awwalin hi mulaqat-e-akhiri insan ka ye maut se rishta bhi khub hai muddat se chal raha hun magar tai na kar saka 'shahid' ye rah-e-rast-e-tamanna bhi khub hai