har shakhs yahan mujh ko bimar sa lagta hai is shahr mein ab jina aazar sa lagta hai sochon ki dukanen hain yaadon ke khilaune hain sine mein mere koi bazar sa lagta hai dekha tumhein jab se ehsas ke aangan mein har jazba-e-khwabida bedar sa lagta hai ab rah-e-mohabbat mein chalna hai bahut mushkil is rah ka har patthar kohsar sa lagta hai mana ki tere lab par alfaz to achchhe hain lekin ye tera lahja talwar sa lagta hai kuchh shahr ke dukhde hain kuchh ghar ke masail hain mujh ko ye tera khat bhi akhbar sa lagta hai haalat ne bhar di hai talkhi si tabiat mein ab kar-e-sukhan-sazi dushwar sa lagta hai dar-asl wo kaisa hai ye baad ki baaten hain chehre se magar 'shahid' gham-khwar sa lagta hai