paraya kaun hai aur kaun apna sab bhula denge mata-e-zindagi ek din hum bhi luta denge tum apne samne ki bhid se ho kar guzar jao ki aage wale to hargiz na tum ko rasta denge jalae hain diye to phir hawaon par nazar rakkho ye jhonke ek pal mein sab charaghon ko bujha denge koi puchhega jis din waqai ye zindagi kya hai zamin se ek mutthi khak le kar hum uda denge gila shikwa hasad kina ke tohfe meri qismat hain mere ahbab ab is se ziyaada aur kya denge musalsal dhup mein chalna charaghon ki tarah jalna ye hangame to mujh ko waqt se pahle thaka denge agar tum aasman par ja rahe ho shauq se jao mere naqsh-e-qadam aage ki manzil ka pata denge