majruh hai dil sine mein sad-chaak jigar bhi kuchh kam nahin qatil tera andaz-e-nazar bhi aate hue darte hain siyah-khane mein mere katra ke nikal jate hain anjum bhi qamar bhi kyon darpai-e-iza hai shab-e-hijr mein zalim kuchh tujh ko moazzin nahin allah ka dar bhi jo aap kahen sab wo durust aur baja hai aibon ke siwa mujh mein nahin koi hunar bhi jaen to kahan jaen riha ho ke qafas se parwaz ke qabil na rahe baal bhi par bhi ye gham ki hama-giri ka aalam hai shab-e-hijr maghmum nazar aate hain diwar bhi dar bhi is tarah se nakaam mohabbat mein na hota ai aah agar hota zara tujh mein asar bhi ab dhang nae sikhe hain khul khele hain bilkul sunte hain wo jaane lage aghyar ke ghar bhi ek aah nahin hai meri ruswai ka bais badnam karenge mujhe ye dida-e-tar bhi gham-khane mein mere koi tafriq nahin hai jis rang ki hai sham yahan waisi sahar bhi aa jata hai ek waqt mohabbat mein kuchh aisa rahti hai nahin mujh ko zara khud ki khabar bhi kate nahin katti hai shab-e-gham ki musibat is raat ki hogi kahin allah sahar bhi 'ishrat' meri ulfat ka yaqin un ko na hoga main nazr karun apna agar kat ke sar bhi