har shakhs asir-e-gham-e-dauran nahin hota har ahl-e-junun chaak-gareban nahin hota har kunj-e-qafas rashk-e-bahaaran nahin hota har phul mataa-e-chamanistan nahin hota karte hain jo manjdhaar se sahil ka tamasha un ko kabhi andesha-e-tufan nahin hota har raat ke daman mein nahin nur sahar ka har nur-e-sahar kaif-badaman nahin hota har zakhm ko risne ki tamanna nahin hoti har dard zubun-kesh numayan nahin hota har gham ke liye izn-e-tabassum nahin lazim har ek tabassum gham-e-insan nahin hota har zarra nahin hota hai 'khurshid' ka partaw khurshid har ek zarra-badaman nahin hota