hum ne chaha tha jinhen shauq se armanon se wo bahaaren nahin wabasta gulistanon se azmat-e-fitrat-e-idrak badal jati hai kaam bigde hue ban jate hain diwanon se qahqahe dard ki tamhid bhi ho sakte hain bijliyan bhi kabhi takraati hain kashanon se maut un ke liye paigham-e-baqa hoti hai khel jate hain jo be-sakhta tufanon se kis qadar past hua fitrat-e-adam ka waqar aaj insan laraz uthta hai insanon se aur badh jata hai andaz-e-junun ka aalam jab bhi diwane ulajhte hain garebanon se mai-kashi nam hai pine ka nigahon se mudam hum ne pina nahin sikha kabhi paimanon se kis qadar fitrat-e-bebak ki khu badli hai azm-e-mahmud larazta hai sanam-khanon se hum rahe dahr mein aazurda-e-sahil 'khurshid' nakhuda se kabhi uljhe kabhi tufanon se