misl-e-gul aadmi misl-e-khar aadmi har tabiat ke hote hain yar aadmi kah raha tha ye ek ba-waqar aadmi aadmi se kare sirf pyar aadmi apni palkon pe shamen jalae hue khwahishon ka hai apni mazar aadmi aadmi hi se milta hai dil ko sukun chhin leta hai dil ka qarar aadmi hai sitaron se aage bhi us ka guzar ye na samjho ki hai bas ghubar aadmi jaanwar jaanwar se pasheman nahin aadmi se magar sharmsar aadmi ai 'zamir' aaj milte hain har mod par be-qarar aadmi dil-figar aadmi