hawa khamosh patte so rahe hain abhi shakhon pe ghunche so rahe hain sar-e-diwar suraj tap raha hai pas-e-diwar sae so rahe hain dar-e-dil par abhi dastak na dena andhera hai ujale so rahe hain hawa-e-tund tu bhi ja ke so ja darakhton par parinde so rahe hain khuli hain shab ke darwazon ki aankhen magar ghar ke dariche so rahe hain bakhil aisa nahin dekha hai dariya ki hum sahil pe pyase so rahe hain bahut zoron pe hai tufan lekin samundar mein jazire so rahe hain tajjub-khez hai dariya ka manzar bhanwar chup hain kinare so rahe hain maze hain lutne walon ke 'shahid' ki ahl-e-shahr sare so rahe hain