har sher ko gulab kiya kya ghalat kiya han tera intikhab kiya kya ghalat kiya raunda nahin kabhi kisi jugnu ko zer-e-pa zarre ko aaftab kiya kya ghalat kiya lab par har ek shakhs ke thi maslahat ki mohr hum ne hi kuchh khitab kiya kya ghalat kiya jo mawara-e-zehn-e-faqihan tha wo gunah us ka bhi irtikab kiya kya ghalat kiya kab tak pisenge zulm ki chakki mein mere log elan-e-inqalab kiya kya ghalat kiya jo dushman-e-awam the nafrat unhin se ki aur ishq be-hisab kiya kya ghalat kiya is aas mein ki sab ko mayassar ho sukh ki nind qurban har ek khwab kiya kya ghalat kiya aaya adab bara-e-adab ka khayal jab likhne ka band bab kiya kya ghalat kiya 'khalid' rahe na sab ki tarah bas qalam quli zulmat ko be-naqab kiya kya ghalat kiya