hum apne zauq-e-safar ko safar sitara karen na koi zaicha khinchen na istikhara karen usi se lafz bane man bhi ek hai jin mein to kaise harf ki be-hurmati gawara karen usi sharar ko jo ek ahd-e-yas ne bakhsha kabhi diya kabhi jugnu kabhi sitara karen shuur-e-sher ne wo aankh khol di dil mein ki ab to hum pas-e-imkan bhi nazara karen firaq-rut mein bhi kuchh lazzaten visal ki hain khayal hi mein tere khal-o-khad ubhaara karen ilahi khol de hum par dar-e-madina-e-ilm ali ali isi ummid par pukara karen asa nahin na sahi hum faqir log magar hon mauj mein to talatum ko hi kinara karen khuda ka shukr hai sab zar-pasand jah-talab hamari sohbat-e-be-faiz se kinara karen mile jo waqt to 'anjum' ba-surat-e-diwan murattab apni riyazat ka goshwara karen