jab bhi tahzib-e-junun ke sath diwana chala pichhe pichhe saya-e-gesu-e-jaanana chala iltifat-e-naz ka mauqa to aaya tha magar hath se patthar bhi un ke be-niyazana chala sham-e-mahfil be-zaban hai warna khul jata bharam kya kahen kis rang mein yaron ka afsana chala rang-o-bu ko panw chhune ki tamanna rah gai mere qadmon se lipat kar yun bhi virana chala eatibar-e-jalwa-e-manzil hai us ka naqsh-e-pa jo har ek naqsh-e-qadam se ho ke begana chala muntazir hain log lekin chashm-e-saqi ki qasam main to ek saghar mein pi kar sara mai-khana chala hum to do din sath bhi the warna ai 'jauhar' yahan sang aur shishe mein kitni der yarana chala