har su mausam nur pe tha jab miladon sat-sangon ka tha jhankar pe rag basanti sufi sunnat malangon ka ghar ghar nachne nach rahe hain maha-nagar ke talon par ganw ke barah-mason mein dam tut gaya mardangon ka mere ahd ke bachche hindu muslim sikh isai hain aman ki bagiya mein hai ab to har pal mausam dangon ka kya khush-marzi thi logon par logan jite marte the dil walon ki basti mein ab qabza hai man-tangon ka mulk mulk duryodhan mahshar-samani par aamada nil gagan banta jae maidan sitara jangon ka rajaon ka des tha ghar ghar hathi jhuma karte the aaj wahi bhaarat 'rahmani' mulk hai bhukon nangon ka