shama ki aaghosh khali kar ke parwana chala aage aage thi haqiqat pichhe afsana chala kaun diwana tha jo hamrah diwana chala shakl-e-gard-e-rahguzar kuchh dur virana chala halqa-e-sud-e-ziyan se ho ke begana chala be-niyazana tha aaya be-niyazana chala ye bhi ek rasm-e-talluq hai ba-qadr-e-agahi baat kabe ki jo aai zikr-e-but-khana chala kuchh ishaare kuchh kinae kuchh khamoshi kuchh bayan guftugu ka silsila bhi raaz-darana chala lan-tarani kya buri thi bahar-e-taqrib-e-sukhan kyun na le kar phir koi zauq-e-kalimana chala