thin ek sukut se zahir mohabbaten apni ab aansuon ne bhi bakhshen inayaten apni ki barg-ha-e-khizan dada-jun udae hue kashan kashan liye phirti hain wahshaten apni sabhi ko shak hai ki khud hum mein bewafai hai kahan kahan na hui hain shikayaten apni chale jahan se the ab aao laut jaen wahin nikalin rahon ne hum se adawaten apni kuchh aur kar degi bojhal faza ko khamoshi chalo ki shor machaen shararten apni hamara jo bhi talluq tha us ke dam se tha lo aaj khatm huin sab riqabaten apni