lutne ka kahin khauf kahin marne ka dar hai dozakh ka ye aangan hai ki duniya-e-bashar hai kis wahm mein kis haal mein 'iqbaal-umar' hai allah dikhai nahin deta hai magar hai aakash pe chamka bhi nahin subh ka tara aur aap ye kahte hain sahar hai to sahar hai main apni tabi'at ki nazakat se hun waqif hansti hui basti mein kahan mera guzar hai main aur kidhar jaun kahan waqt guzarun taskin dil-e-zar idhar hai na udhar hai yun bhi hai ki ta'mir mein shamil hai mera khun ye shahr mera shahr hai ye ghar mera ghar hai aise mein to purab ki taraf 'mir' gae the apne ko sanbhaale hue 'iqbaal-umar' hai