main pure qad se khada hun ab is yaqin ke sath nahin hai 'arzi rishta mera zamin ke sath hamari zat ki takmil hone wali hai zara sa qaf lagana hai ‘ain shin ke sath yahan pe sanp hain but hain chhuri hai yar bhi hain 'ajib mela laga hai ek aastin ke sath tum apni aankhon se dil se to puchh lo pahle ki mashwara to zaruri hai mahirin ke sath nazar ko de ke fareb ek parda uthne ka 'ajab mazaq azal se hai nazirin ke sath agar tu phul se khushbu talak safar kar le samajhna 'ishq mukammal hai tere din ke sath main be-sabab kabhi roya to ye khula mujh par makan bhi rote hain 'tahir' kabhi makin ke sath