har tabassum ko chaman mein girya-saman dekh kar ji laraz jata hai in ghunchon ko khandan dekh kar aakhir aakhir hosh hi wahshat bhi tha hairat bhi tha dil ko aalam-afrin sahra-bad-aman dekh kar shewa apna gham-parasti qibla apna khak-e-dil ruh-e-gham ko paikar-e-khaki mein insan dekh kar har tasalli se siwa hoti gai dil ki tadap dard kuchh se kuchh hua saman-e-darman dekh kar us ko inam-e-khudi aur is par lutf-e-be-khudi wo karam karte hain zarf-e-ahl-e-irfan dekh kar maani-e-surat mein hum ne teri surat dekh li teri qudrat dekh li insan ko insan dekh kar qabr-e-'fani' par main wo barchida-daman ai nasim muntashir kar khak lekin un ka daman dekh kar