har tajraba shikar-e-fareb-e-nazar hua kin zulmaton pe aah guman-e-sahar hua kis kis ada se aaj koi jalwa-gar hua aaya nazar ko hosh to dil be-khabar hua ai rahnuma jasarat-e-rahzan ki dad de jo hadisa hua wo sar-e-rahguzar hua hai aafrin jo hanste nahin hain tamam-umr hum se to ek din bhi na gham ka basar hua pahle to arz-e-gham ki ijazat na denge wo waqfa bahut qalil sa hoga agar hua rakkhi thi jis pe tera nasheman bahaar mein kya iltifat-e-barq isi shakh par hua ye puchhna abas hai dil-e-khush-khayal se aabaad hum hue hain ki barbaad ghar hua