main hun aur silsila-e-ashk-e-rawan aaj ki raat zindagi hai hama-tan soz ba-jaan aaj ki raat dida-e-shauq mein hai raqs-kunan aaj ki raat gham ki bujhti hui shamon ka dhuan aaj ki raat apni palkon pe larazte hue taron ki qasam sab ke honton pe hai fariyaad-o-fughan aaj ki raat hain kahan aah wo huran-e-tasawwur jin se dil tha ghairat-dah-e-gulzar-e-jinan aaj ki raat samne koi nahin ruh-nawaz-e-dil-o-jaan zindagani ki tamanna hai garan aaj ki raat chandni raat ke chehre pe hai kyun gham ka ghubar dhundli dhundli si hai kyun kahkashan aaj ki raat wo nahin hain to muqaddar mein hain mere 'manzur' matam-e-marg-e-tamanna-e-jawan aaj ki raat