hum ishq siwa kam hain kisi nam se waqif na kufr ke mahram hain na islam se waqif talqin kare arz-e-tamanna hamein us se mahram nahin hai us but-e-khud-kaam se waqif wo daur-e-visal aah kidhar hai ki hum aur wo duniya mein na the nama-o-paigham se waqif kya puchho ho hum rawish-e-bagh-o-chaman ko hum to rahe kunj-e-qafas-o-dam se waqif shirini-e-bosa se mazaq us ka ho phir talkh aashiq jo hua lazzat-e-dushnam se waqif bad-nam na kar ishq ko ja kaam kar apna hai ahl-e-hawas tu nahin is kaam se waqif aaghaz-e-mohabbat ke maze ne kiya ghafil ab tak na the hum us ke bad-anjam se waqif