har taraf khushiyan hi khushiyan thin nagar raushan tha hum jise chhod ke aae the wo ghar raushan tha raushni mein bhi andheron ka guman hota hai tum mere sath the jab tak to safar raushan tha wo mujhe chhod gaya par use malum na tha dur tak azm-e-safar sath tha dar raushan tha log shayad use aasar-e-qadima samjhen is udasi pe na ja ye bhi khandar raushan tha khud-numai ka use aane laga kaisa nasha jis taraf us ki nigahen thin hunar raushan tha baadshahat mere hisse mein kabhi thi hi nahin phir bhi peshani pe wo shams-o-qamar raushan tha us ki qismat mein bhi thoda sa ujala tha 'surur' jo diya bujhta hua waqt-e-sahar raushan tha