kabhi to zehn mein aakar nikal gae alfaz

kabhi to zehn mein aakar nikal gae alfaz
kabhi khud aap hi sheron mein dhal gae alfaz

jinhen samajhta tha takhil ke muawin hain
qarib aa ke wahi ab badal gae alfaz

na jaane kaun si main baat kahne wala tha
nazar kisi pe padi to sanbhal gae alfaz

ye sach hai phande wahi aadmi ke bante hain
ghalat jo us ki zaban se nikal gae alfaz

tumhaare shahr mein jo kuchh bhi main ne dekha hai
bayan karne mein un ko dahal gae alfaz

sunega kaun sunaega kaun ab un ko
ki sab ke sath hi shoalon mein jal gae alfaz

ghazal sunai hai pur-soz 'taj' ne aisi
ki aaj aankhon mein un ki pighal gae alfaz


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close