khayal mein hai jo chehra nazar bhi aaega wo apne ghar se kabhi mere ghar bhi aaega bichhadte waqt ka manzar bhi dhyan mein rakhna safar mein kaam ye rakht-e-safar bhi aaega nikal to aae hain zindan-e-tirgi se magar ye sochte hain hamein kuchh nazar bhi aaega sabhi na ghar ke darichon se bach ke guzrenge hawa ka koi to jhonka idhar bhi aaega malal saya-e-diwar-o-dar abhi se kya ye marhala to sar-e-rahguzar bhi aaega meri nawa to kabhi raegan nahin jati agar wo ghar mein hua baam par bhi aaega kise guman tha 'khawar' wahan ki mitti mein yahan ki aab-o-hawa ka asar bhi aaega