har zarra-e-khaki ko kiran hum ne banaya mitti ko lahu de ke chaman hum ne banaya tha husn magar ek nigah-e-nim-raza se gesu-ba-kamar lala-shikan hum ne banaya sad-shukr ki hai un ka tabassum bhi hamin par kaliyon mein jinhen ghuncha-dahan hum ne banaya aghyar ko gul-pairahani hum ne ata ki apne liye phulon ka kafan hum ne banaya har jazba-e-azadi-e-fitrat ko hua di har baada-e-paimana-shikan hum ne banaya tarikh-e-junun ye hai ki har daur-e-khirad mein ek silsila-e-dar-o-rasan hum ne banaya darte hain khamoshi se hamari mah-o-anjum chup rah ke wo andaz-e-sukhan hum ne banaya takrae kabhi mauj se sahil pe kabhi hain bahte hue dariya mein watan hum ne banaya mustaqbil-e-tahzib ka naghma wahi thahra jo zamzama-e-gang-o-jaman hum ne banaya ashkon se hamare hai munawwar nai duniya shabnam ko ziya di to karan hum ne banaya aafaq ka har jalwa 'nushur' is mein ayan hai mil-jul ke wo aaina-e-fan hum ne banaya