mana wo ek khwab tha dhoka nazar ka tha us bewafa se rabt magar umr-bhar ka tha khushbu ki chand mast lakiren ubhaar kar lauta udhar hawa ka wo jhonka jidhar ka tha nikla wo bar bar ghataon ki ot se us se muamla to faqat ek nazar ka tha tum muskura rahe the to shab sath sath thi aansu gire the jis pe wo daman sahar ka tha hum aaj bhi khud apne hi sae mein ghir gae sar mein hamare aaj bhi sauda safar ka tha sahra ke sar ki mang hai ab tak wo ek lakir hasil jise ghurur teri rahguzar ka tha kali kiran ye gung sadaon ke daere pahuncha kahan 'rashid' irada kidhar ka tha